Hari vasundhara neela neela hai yeh gagan
yeh kispe badalon ki palaki uda raha pawan
dishayen dekho rang bhari ( 2)chamak rahi umang bhari
yeh kisne phool phool pe (2) kiya shringar hai
yeh kaun chitrakar hai yeh kaun chitrakar
yeh kauu....nn chitrakar hai
tapasviyon se hai atal yeh parvaton ki chotiya
yeh sarp se ghumerdhar dherdhar ghatiyan
dhwaje se yeh khade huae (2) hai vriksh deodar ke
kaliche ye ghulab ke bageeche yeh bahar ke
yeh kis kavi ki kalpana (2)ka chamatkar hai
yeh kaun chitrakar hai yeh kaun chitrakar
yeh kauu....nn chitrakar hai
kudrat ki is pavitrata ko tum niharlo
inke guno ko apne man mein tum utaar lo
chamkalo aaj laalima (2) apne lalat ki
kan kan se saans ke ,tumhe sabhi viraat ki
apni to ankh ek hai (2)uski hazar hai
yeh kaun chitrakar hai yeh kaun chitrakar
yeh kauu....nn chitrakar hai
Friday, July 20, 2012
Subscribe to:
Posts (Atom)